Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye hum dono
Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavaazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton mein
Na zaahir ho tumhaari kashm-kash ka raaz nazaron se
Tumhen bhi koi uljhan rokti hai peshkadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, ki yeh jalve paraaye hain
Mere hamraah bhi rusvaaiyaan hain mere maajhi ki
Tumhaare saath bhi guzri hui raaton ke saaye hain
Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa achchha
Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
Use ek khoobsoorat mod dekar chhodna achchha
Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaaye ham dono
No comments:
Post a Comment